Current Date: 01 May, 2026

Banke Bihari Sarkar Ho Tum Mere - Atul Bihari Das


Banke Bihari Sarkar Ho Tum Mere 
Sarkar Ho Tum Mere Dildar Ho Tum Mere 
Haan Yaar Ho Tum Mere Dildar Ho Tum Mere 
Banke Bihari Sarkar Ho Tum Mere

Jab Jab Aayi Musibat Mujhpar Tumne Diya Sahara 
Doob Chuki Thi Naiya Meri Tumne Diya Kinara 
Doob Chuki Thi Naiya Meri Tumne Diya Kinara Haan 
Banke Bihari Palanhaar Ho Tum Mere 
Yaar Ho Tum Mere Dildar Ho Tum Mere Haan 
Banke Bihari Sarkar Ho Tum Mere

Tumse Judi Hai Preet Aisi Janam Janam Ka Naata 
Tere Bin Bihari Ji Ab Humko Kuch Nahi Bhata 
Banke Bihari Yaar Ho Tum Mere 
Yaar Ho Tum Mere Dildar Ho Tum Mere Haan 
Banke Bihari Sarkar Ho Tum Mere

Tum Jeevan Tum Praan Mere Tum Hi Bandhu Sakha Ho 
Tum Hi Ho Paramatma Tum Hi Maat Pita Ho 
Banke Bihari Rishtedar Ho Tum Mere 
Yaar Ho Tum Mere Dildar Ho Tum Mere Haan 
Yaar Ho Tum Mere Dildar Ho Tum Mere 
Banke Bihari Sarkar Ho Tum Mere

Pagal Ke Sartaj Tumhi Ho Jeevan Ke Aadhar Ho 
Das Atul Ka Pehla Aur Aakhiri Tum Hi Pyar Ho 
Banke Bihari Parivaar Ho Tum Mere 
Yaar Ho Tum Mere Dildar Ho Tum Mere Haan 
Banke Bihari Sarkar Ho Tum Mere

Credit Details :

Song - Banke Bihari Sarkar Ho Tum Mere
Singer - Atul Bihari Das
Music - Kailash Kumar Shrivastav
Lyrics - Atul Bihari Das

अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।