Current Date: 14 Dec, 2025

Ghanshyam Ka Bankar Dekh Zara - Satya Prakash Adhikari


Duniya Ka Bankar Dekh Liya, 
Ghanshyam Ka Bankar Dekh Zara

Is Naam Mein Kitni Shakti Hai, 
Is Raah Pe Chalkar Dekh Zara
Duniya Ka Bankar Dekh Liya, 
Ghanshyam Ka Bankar Dekh Zara

Duniya Ke Chakkar Mein Padkar
Kai Janam Yuhin Barbaad Kiye
Ab Sharan Mein Shyam Ki Aakar Ke 
Tu Naam Sumir Kar Dekh Zara
Duniya Ka Bankar Dekh Liya, 
Ghanshyam Ka Bankar Dekh Zara

Murli Wale Mein Kitni Masti Hai
Ye Pucho Inke Diwano Se
Is Prem Ke Pyale Ko Prani, 
Ek Baar To Peekar Dekh Zara
Duniya Ka Bankar Dekh Liya, 
Ghanshyam Ka Bankar Dekh Zara

Jo Bhakti Maarg Par Chalte Hain
Wo Jag Mein Amar Ho Jaate Hain
Ye Pyaar Saccha Shyam Ka, 
Tu Nind Se Jaag Kar Dekh Zara
Duniya Ka Bankar Dekh Liya, 
Ghanshyam Ka Bankar Dekh Zara

Is Naam Mein Kitni Shakti Hai, 
Is Raah Pe Chalkar Dekh Zara
Duniya Ka Bankar Dekh Liya, 
Ghanshyam Ka Bankar Dekh Zara

Credit Details :

Song - Ghanshyam Ka Bankar Dekh Zara
Singer - Satya Prakash Adhikari
Music - Kailash Kumar Shrivastav

अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।