Rashtrapati A P J Kalam
Garv Kare Tumpe Hindustan
Jisne Agni Prithvi Ko,
Amber Pe Pahunchaya
Great Abdul Kalam Abdul Kalam
Kare Hai Jise Jag Ye Salam
Great Abdul Kalam
Kare Hai Jise Jag Ye Salam
Kahte Sada Sapne Vo Nahi Hai,
Sote Sote Hum Jo Dekhe
Asli Sapne Vo Hote Hain,
Jo Hame Sone Nahi Dete
Parmanu Kar Parikshan Duniya Ko Chaukayo
Great Abdul Kalam ...
Vigyanik Aur Rashtrapati Ban,
Chhap Chhodi Har Jan Man Me
Jute Rahe Vo Antim Din Tak,
Apni Mehanat Aur Lagan Me
Himmat Se Mushkilon Me Sabko Chalna Hai Sikhaya
Great Abdul Kalam ...
Chhote Pad Gaye Inke Aage
Padma Bhushan Padma Vibhushan
Sabse Uncha Maan Desh Ka,
Diya Gaya Inhe Bharat Ratna
Gaurav Ke Asma Pe,
Jo Tiranga Lahraya
Great Abdul Kalam Abdul Kalam,
Kare Hai Jise Jag Ye Salam
Credit Details :
Song - Great Abdul Kalam
Singer - Kumar Sanjay
Music - Baljeet Singh Chahal
Lyrics - Subhash Bose
अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।










